YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi

     YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi 
   
YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Full Guide in Hindi, Youtube Se Paisa Kamane Ki Hindi Jankari: YouTube se paise kamana koi kathin kam nahi hai. YouTube ko google ne videos dekhne ke liye banaya hai. Is par ham jaise log hi video upload karte hai. Iske badle me humari income hoti hai. Isse aap bina paisa kharch kiye free me online income kar sakte ho.
Is post me main aapko YouTube se paise kamane ke bare me bta raha hu. Yaha aapko youtube se paisa kamane ki puri jankari milegi. Aap ya koi bhi new user is post ko padh kar youtube se paise kama sakta hai. Bas aapko video bana kar youtube par upload karni hai.
  YouTube google ki hi service hai or google fraud nahi ho sakta ye bat sab jante hai. Agar aapko YouTube me interest hai or aap YouTube se paisa kamana chahate ho or video bana sakte ho to thoda time jarur lagega par post ko pura padhna.
I promise aapko puri jankari milegi. Chaliye jante hai ki YouTube se paise kaise kamaye jate hai. Niche table bana di gaiy hai aap jis topic ko pahle padhna chaho us par click karke padh sakte ho.
Wese youtube ke alawa bhi internet se paise kamane ke bahut se tarike hai jinse bhi aap without investment ke online earning kar sakte ho. Jaise blogging, adsense, affiliate marketing in sabse bare me main apni dusri posts me btaya hua hai
YouTube Se Paise Kaise Kamaye Ki Puri Jankari Hindi Me
YouTube channel videos upload karne ka sabse best platform hai jis par aap video upload kar ke monthly 10,000, 20,000, 50,000 ya fir 1,00,000 yani 1 lakh se jyada earning kar sakte ho. Aaj ke time me bahut se log YouTube se lakho rupees kama bhi rahe hai.
Aap bhi bhi kama sakte ho but uske liye aap ke pas kuch chijo ka hona bahut impotant hai. Apna YouTube channel banane or YouTube par video upload kar ke paise kamane se pahle ye step follow kijiye. Aapko bas yaha bataye steps follow karne hai uske bad aap bhi isse paise kama sakte ho.
1. YouTube Se Paise Kamane Ke Liye Kya Kya Hona Chahiye
“YouTube se paise kamane ke liye kin kin cheezo ki jarurat padti hai?” Ye sabse bada sawal hai kyuki bahut se log isi wajah se YouTube se paise kamane me jyadatar fail ho jate hai. Aapko jyada kuch nahi karna hai bas ye steps follow kare.
Step 1:
Maine yaha kuch aesi bate batai hai jo aapme bahut jarur honi chahiye.
  1. Your Voice: YouTube se paise kamane me sabse pahle jaruri hai ki aapki aawaj kaisi hai. Kyoki audience video maker ki aawaj par sabse jyada dhyan dete hai.
  2. Your Style: Video me sirf bolne or video me samne ho kar users se bat karne me samne rahakar banayi gayi video jyada better hoti hai. Isliye aese me ye aap depend karta hai ki aapki style kaisi hai. Users aapko kitna pasand karte hai.
  3. Your Talent: Aap video ke throw logo ko kitna sikha sakte ho impressive kar sakte ho jisse wo aapke new video ka hamesha intjar kare.
  4. Video Quality: Aapke banaye video ki quality acchi honi chahiye jise jyada se jyada users pasand kare.
Step 2:
Yaha main wo chij ke bare me bata raha hu jo aapke pas jarur hone chahiye.
  1. Camera: Video banane ke liye aapke pas ek accha camera hona chahiye. Agar aap computer ki screen record kar ke video banana chahate ho to Camtasia studio software use kar sakte ho.
  2. Video Editing: Aapko video edit karne ke bare me thodi bahut (basic) jankari honi chahiye jisse aap better video edit kar sako.
  3. Computer: Video edit karne ke liye aapke pas ek computer ya laptop hona bahut jaruri hai. Smartphone se YouTube se paise kamane ki soch rakhkar time west mat karo.
  4. Good Audience: Video banane se pahle internet par aapke Facebook, google plus, twitter jaise other social media sites par tohde bahut friends hone chahiye jo aapke video share karne par aapki video dekhe or aage bhi share kar sake.
2. YouTube Se Paisa Kamane Ka Tarika
Youtube se paise kamane ka koi special tarika nahi hai. Youtube se money earn karne ke liye aapko sirf video bana kar apne yotuube channel par upload karni hai. Aapko high qulaity videos banani ohgi jinhe log pasad kare or aapko jyada se jyada support mile.
Video bana kar apne channel par upload karne ke bad jab aapki sabhi videos par total 10,00 views ho jaye to videos ko Various Advertising Networks like google adsense me monetize karna hoga uske bad jab koi aapki videos view karega to aapki income hogi.
Ab aapko ye to pata chal hi gaya hoga ki YouTube par video upload karne se pahle aapke pas kya kya hona chahiye or kin kin chizo ki jarurat hoti hai to chaliye ab aage jante hai ki video se paise kaise kamaa sakte hai. Youtube se paise kamane ke kai tarike hai jaise:-
  • Google Adsense: Aap apni videos me adsense ads laga kar eanring kar sakte hai. (Mostly, yotuber yahi tarika istemal karte hai.)
  • Affiliate Marketing & CPA: Sabse pahle aap apne videos se related affiliate market company join kare or apna affiliate link generate kare. Use bad company ke product ke bare me promotion video banaye or video and description me apna affiliate link add kare. Jab viewers aapke referral link par click kar product buy karenge to aapki earning hogi. Agar aap janna chahate hai ki affiliate marketing se earning kaise hoti hai to aap humari Affiliate Marketing Kya Hai or Isse Income Kaise Hoti Hai post read kare.
  •  Sell Own Product: Aap chahe to youtube par apne khud ke product sell karke bhi paisa kama sakte hai. Iske liye aap apne product ke bare me achhi video banaye or use kharidne ke bare me btane ke sath uski buying process description me bhi add kare taki user aapka product easily kharid sake.
  • Sell Your Videos: Aap chahe to apne video bhi sell karke paisa kama sakte hai. Iske liye aapko high quality video banana hoga jis par lkaho views aaye uske bad aap kisi youtube channel admin ya advertiser se contact kar video sell kar sakte hai.
  • Promote other Channels: Iske alawa aap kisi other youtube channel ka promotion karke bhi youtube se paisa kama sakte hai.
Agar aapko youtube se paise kamane ke or tarike janne hai to apa humari YouTube Se Rupees Kamane Ke 10 Aasan Tarike post read kare. Isme aapko youtube se paise kamane ke 10+ tarike milenge.
3. YouTube Videos Se Income Kaise Hoti Hai
Hum jab bhi koi naya kaam start karte hai to hume uske bare me puri jankari hona bahut jaruri hai or agar nahi hai to pahle us kaam ke bare me pata kar lena chahiye.
Ye har kam me success hone ki meri taraf se free tips hai to mai bat kar raha tha ki aap YouTube par jo video upload karoge unse earning kaise hoti hai.
Jab bhi koi user aapki video dekhega to aapki 2 tariko se earning hogi.
  1. Jab koi aapke videos par show hone wale Overlay ads, Sponsored ads, Skippable video ads par click karta hai.
  2. Aap kisi bhi company, affiliate product ko promote kar ke bhi YouTube videos se paise kama sakte hai. Jab koi aapke product ko buy karega to aapko affiliate company se commission milega.
  3. Aap dusre youtube channel ko promote karoge to apako channel admin iske liye pay karega.
Ab aap soch rahe hai ki mai aapko $1 ya $5 kyu bata raha hun fix income to iski wajha ye ki alag alag country me alag alag tarha se paise milte hai.
Examply USA me aapki video ads ek click ke $2 se $10 milta hai jabki India me sirf $0.20 to $2 hi milte hai.
Agar aap YouTube se paise kamana nahi chahate ho to internet par or bhi bahut se kam aese hai jinse aap ghar baithe paise kama sakte ho uske liye aap hamari ye post read kijiye Internet Se Paise Kaise Kamaye Full Information in Hindi.
4. YouTube Se Kitna Paisa Kama Sakte Hai
Agar aap soch rahe hai ki youtube se ktina kama sakte ho to chaliye main aapko iske bare me bhi bta deta hu. Aap youtube se kitna kamoge ye aapke traffic/views, videos topics and user support par dpend karta hai.
Aapko jitna jyada traffic milega utni hi jyada aapki earning hogi. Maine upar youtube se paise kamane ke kai tarike btaye hai. Har tarike se alag alag earning hogi. Adsnese se aap per 1,000,000 views par 300 dollar to $500 tak kama sakte ho.
Affiliate marketing me aapke product par milne wala commission aapki earning decide karta hai. Jaise aapko per sell 2,000 milte hai or aapko mahine me 100 sel mil jati hai to aapki earning 2,00,000 hogi. Aapko kitni sell milengi wo aapki video ki quality or aapke experience par depend karta hai.
Agar aap khud ke product se earning kar rahe ho ya kisi or channel ka promotion kar rahe ho to ye aapke channel ki popularity par depend karta hai ki log aapko kitna pay kar sakte hai or unko kitna fayda hoga.
5. YouTube Se Kamaye Gaye Paise Hume Kaise Milenge
Youtube se kamaye paise aapke account me kaise aayenge ye bahut bada sawal hai. Hum jab bhi koi online work start karte hai to hamare dimag me ek bat jarur aati hai ki hame payment kaise milega or kon hame payment dega. YouTube par mostly google adsense ke ads laga kar earning ki jati hai. Adsense se hone wali earning ka payment google wire transfer EFT ke through karta hai. EFT ka matlab Electronic Funds Transfer hota hai.
Iski process bahut hi easy hai. Aapko bank adsense account me apna bank account add karna hota hai. Main iske bare me already post kar chuka hu aap read kar sakte ho. Google Adsense India Me Payment Kaise Karta Hai
To ab aapko apne sabhi sawalo ke jawab mil gaye hai ki YouTube se paise kamane ke liye kon kon si chijo ki jarurat hoti hai. YouTube se income kaise hoti hai or hame payment kaise milega so ab main aapko batane ja raha hu ki YouTube  se paise kaise kamaye?
YouTube Se Paise Kaise Kamaye – Complete Guide in Hindi
YouTube Se Paise Kaise Kamaye: YouTube se paise kamane ke liye aapko apne YouTube channel banana hoga or us par video upload karne honge fir apne YouTube channel ko adsense se jodna padega. Don”t worry ghabrane ki jarurat nahi hai main aapko details se samjha raha hu.
1. Youtube Channel Banaye
Sabse pahle aapko apna YouTube channel banana hai. YouTube channel banane ke liye aap YouTube.com website par jaiye or apni gmail ID se log in kijiye. ( YouTube google ka hi banaya hua hai isliye hame YouTube par alag se channel banane ki koi jarurat nahi hai. )
Agar aapke pas gmail id nahi hai to pahle aap Google Par  Gmail Account Kaise Banaye post padh kar apni email id bana lijiye uske bad aap apna YouTube channel bana sakte ho.
2. 4-5 Videos Bana Kar Upload Kare
YouTube channel banane ke bad dusra kam hai YouTube par kuch video bana kar upload karna. Isliye apne channel par 4 – 5 khud ke banaye huye video upload kijiye.
Agar aapko video upload karne ke bare me details me jankari chahiye to aap hamari ye post read kijiye YouTube Par Video Upload Kaise Kari Chahiye
Is post me hamne video upload karne ke bare me details se bataya hai or agr fir bhi aapko video upload karne me koi problem aaye to hame comment me bata sakte ho.
3. Youtube Channel Ko Google Adsense Se Jode
YouTube channel ko monetize karne ke bad 4th kam hai YouTube channel ko adsense se jodna.Aapki video par jo ads show honge wo adsense ke ads hote hai or adsense se hi aapki income start hogi.
Agar aap iske bare me nahi jante ho to koi bat nahi iske liye aap hamari ye YouTube Channel Ko Adsense Se Kaise Jodte Hai post read kijiye aapko details se jankari milegi.
4. YouTube Videos Par Monetization Enable Kare
YouTube channel par kuch self created video upload karne ke bad tisra kam hai YouTube channel ko monetize karna yani YouTube videos ko monetization karna,
Iski details se jankari ke liye aap hamari ye YouTube Par Video Ko Monetize Kaise Kare post read kijiye. Is post me aapko iski details se jankari milegi.
5. Finally, Youtube Se Paisa Kamana Shuru Kare
Ab aapka YouTube channel to ban chuka hai or aapne use monetize or adsense se connect bhi kar liya hai to ab aapka YouTube se paise kamane ka kam complete ho chuka hai.
Ab aap sirf videos upload kijiye or income kijiye mgar abhi bhi ek problem hai ki apne videos par views kaise laye aesa kya kare ki hamari videos ko sabse jyada log dekhe or pasand kare.
Jisse ham jyada paise kama sake is sawal ka jawab aapko meri agli post me milega to ab mera bhi kam kijiye sirf 5 second ka time de kar is post ko Facebook, twitter, google+ jaha aap chahe share kar dijiye.
Note:- Jab aapki video par 10,000 viewsho jaye to apne YouTube channel ko adsense se connect karna hai agar aap usse pahle karoge to adsense account approved hona bahut kathin hai. 10k views pane me ye post apaki help karegi.
Ye thi youtube se paise kamane ki normal process ab main aapko youtube ke bare me kuch or jaruri bate or yotube se paise kamane ke kuch or tariko ke bare me bta raha hu. Dhyan se padhe.
By the way agr agar aapko YouTube se paise kaise kamaye ki is post me bataya gaya tarika samjh nahi aaya ho to aapke dimag me YouTube se related abhi bhi koi sawal hai to aap comment me apna sawal puch sakte hai.
Agar aap comment nahi karna chahte ho or YouTube se paise kaise kamaye ke bare me adhik janna chahte ho to aap hamari YouTube se related post read kar sakte ho aapko details se jankari milegi.
Ek bat or agar aapko YouTube se paise kaise kamaye post acchi lage to is post ko social media par apne sabhi friends ke sath share jarur kare taki aapki wajah se koi or bhi YouTube se paise kamane ka tarika jane sake.

Comments

Tech News

How to blog website hindi me,Blogger Par website kaise banaye – Kuch Sawal

What is Computer keybord special charcter and Windows steps

Web Designing क्‍या होता है ?